If they ever tell my story, let them say: I walked with the giants. Men will rise and fall like the winter wheat but these names will never die...
Sunday, January 10, 2010
Parinda
Hamara dil savere ka sunhara jaam ho jaye
Chirago ki tarah aankhen jale, jab shaam ho jaye
Mein khud bhi ehtiyaatan, us gali se kam gujarta hoon
Koi maasoom kyon mere liye badnaam ho jaye
Ajab haalaat the yu dil ka sauda ho gaya aakhir
Mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaye
Samandar ke safar mein es tarah aawaaz do humko
Hawaaien tej ho aur khashtiyon mein shaam ho jaye
Mujhe maalum hai phir uska thikana kahan hoga
Parinda aasman chune mein jab nakaam ho jaye
Ujjale appni yaado ke hamare saath rahene do
Na jane kis gali mein jindi ki shaam ho jaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment