Wednesday, April 14, 2010

Barsaat Ki Rut


Ab ke barsaat ki rut aur bhi bhadkeeli hai
Jism se aag nikalati hai, qabaa geeli hai

Sochta hoon k ab anjaam-e-safar kya hoga
Log bhi kaanch ke hain, raah bhi pathreeli hai

Shiddat-e-karb mein to hansnaa karb hai mera
Haath hi sakht hain zanjeer kahaan dheeli hai

Gard aankhon mein sahi daag to chehre pe nahi
Lafz dhundhale hain magar fikr to chamakeeli hai

Ghol deta hai sama`at mein wo meetha lahja
Kis ko maalum ke ye qind bhi zahreeli hai

Pahle rag rag se meri khoon nichoda us ne
Ab ye kehata hai ke rangat hi meri peeli hai

Mujhako be rang hi na karade kahin rang itne
Sabz mausam hai, hawa surkh, fizaa neeli hai

Meri parawaz kisi ko nahi bhaati to na bhaye
Kya karun zehan "muzaffar" mera jibarili hai

No comments:

Post a Comment