If they ever tell my story, let them say: I walked with the giants. Men will rise and fall like the winter wheat but these names will never die...
Tuesday, October 27, 2009
Khumaar-e-Gham
Khumaar-e-gham hai, mahekti fizaa mein jeete hain..
Tere khayaal ki aab-o-hawaa mein jeete hain...
Bade itafaak se milte hain milne waale mujhe..
Woh mere dost hai, teri wafa mein jeete hain...
Firaaq-e-yaar mein saanson ko rok ke rakhte hain..
Harek lamha guzarti qazaa mein jeete hain...
Na baat poori huwi thi, ke raat toot gayi..
Adhure khwaab ki aadhi sazaa mein jeete hain...
Tumhaari baaton mein koi masihaa basta hai..
Haseen labon se barasti shafaa mein jeete hain...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment